Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai Lyrics

Song Details: Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai Lyrics are written by Javed Akhtar with music given by Nusrat Fateh Ali Khan/Raju Singh. The song name is Afreen Afreen which is sung by Ustad Nusrat Fateh Ali Khan.


Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai Lyrics

[Verse 1: Rahat Fateh Ali Khan]
Aisa dekha nahi khoobsurat koi
Jsm jaise Ajanta ki murat koi
Jsm jaise nigahon pe jadoo koi
Jsm nagma koi jsm khushboo koi
Jsm jaise mehakti hui chandni
Jsm jaise machalti hui ragini
Jsm jaise ke khilta hua ik chaman
Jsm jaise ke suraj ki pehli kiran
Jsm tarsha hua dilkasho dilnashin
Sandli sandli marmari marmari
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi

Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi…

[Verse 2: Momina Mustehsan]
Jane kaisi bandhi tune akhiyon ke dor
Mann mera khicha chala aaya teri aor
Mere chehre ki subah zulfon ki shaam
Mera sab kuch hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhua toh hai ye jadoo hua
Hone lagi hoon main haseen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen

[Verse 3: Rahat Fateh Ali Khan]
Chehra ik phool ki tarah shadaab hai
Chehra uska hai ya koi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi
Chehra ik khwab bhi chehra tabeer bhi
Chehra koi aliflailvi dastaan
Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah
Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi..
Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Usne jaana ki tareef mumkin nahi…
(Afreen..afreen..)

Music Video

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *